Main dard ki kitaaab hun
mujhay kia karo gay khol k
meray waraq waraq pe ashq hain
meri bebasi k khayaal hain
mujhay zindagi se gila nahi
jisay chaha tha wo mila nahi
lagi chot dil pe jo ishq ki
abi zakham wo to bhara nhi
meray hoslay ka kamaal dekh
meri saadgi ka jamaal dekh
jis shaks ne mujh ko bhula dia
us shaks se mujh ko gila nahi
rahay khush sada bs hay dua
meri qismat main wo tha nahi
isi liye mila nahi
No comments:
Post a Comment