Friday, 3 October 2014

Rafaqato'n Main Waqar Khona.......

Rafaqato'n Main Waqar Khona
Koi Sunega,To Kya Kahega
Ye Din Ko Sona, Ye Shab Ko Rona
Koi Sunega,To Kya Kahega
Beech Bhanvar Main Chor Atay
To Baat Tum Pe Yun Na Ati
Ye Sahilo'n Pe Hamein Dubona
Koi Sunega,To Kya Kahega
Jo Ji Main Aya,To Khoob Khela
Jo Ji Se Utra To Tor Dala
Mera Dil Bhi Tha Ek Khilona
Koi Sunega To, Kya Kahega
Kaha Jo Us Se Ke Dar Khuda Se
Kya Khudayi Ka Tujhko Dar Nahi Hai?
Hans Ke Bolay Ke Chup Raho Na
Koi Sunega, To Kya Kahega...!!!

tUmhein

No comments:

Post a Comment