Meri Aankhen Kharido Gy?
Bahut Majboor Halaat Men,
Bahut Majboor Halaat Men,
Mujhy Neelam Karni Hain.!
Koi Mujh Se Naqad Ly Ly,
Main Thory Daam Ly Lon Gi,
Main Thory Daam Ly Lon Gi,
Jo Dy Dy Pehli Boli To Ussi K Naam Kr Dun Gi!
Mujhy Bazar Waly Keh Rahy Hain Km Aqal Taajir,
Suno Logo..!
Nahi Hoon Main Koi Hirs Ki Khwaha'n!
Nafa Nuqsan Ki Shatranj Nahi Main Khelny Aai,
Bari Mehboob Hain Mujh ko Ye Meri Neem Tar Aankhen,
Magr Ab Bechti Hun K..!
Main Ny Ek Khuwab Dekha tha?
Ussy Apna Banany Ka,
Usy Dil Men Basany Ka,
Sirf Usi Ki Ho Jany Ka,
Mujhy Uss Khwab Ka Tawaan Bharna Hai..!!
Inhen Nelaam
Karna Hai
Karna Hai
Inhen Nelaam Karna Hai.